Thursday 19 February 2015

Ghazal

Woh ghazal padhne mein lagta bhi ghazal jaisa tha,
sirf ghazlen nahin lehja bhi ghazal jaisa tha.

Waqt ne chehre ko bakhshi hai kharaashen warna,

kuchh dinon pehle ye chehra bhi ghazal jaisa tha.

Tum se bichchda toh pasand aa gayi betarteebi,
iss se pehle mera kamra bhi ghazal jaisa tha.

Koi mausam bhi bichchad kar humein achchha na laga,
waise paani ka barasna bhi ghazal jaisa tha.

Neem ka ped tha, barsaat thi aur jhoola tha,
gaaon mein guzra zamana bhi ghazal jaisa tha.

Woh bhi kya din the tere paaon ki aahat sun kar,
dil ka seene mein dhadakna bhi ghazal jaisa tha.

Ek ghazal dekhti rehti thi dareeche se mujhe,
sochta hun woh zamana bhi ghazal jaisa tha.

Kuchh tabiyat bhi ghazal kehne pe amaada thi,
kuchh tera phoot ke rona bhi ghazal jaisa tha.

Mera bachpan tha, mera ghar tha, khilone the mere,
sar par maa-baap ka saaya bhi ghazal jaisa tha.

Narm-o-naazuk sa, bahut shokh sa, sharmeela sa,
kuchh dinon pehle toh ‘rana’ bhi ghazal jaisa tha. !!

No comments:

Post a Comment