Sunday 29 June 2014

"MAA" - By Munawwar Rana

labo par uske kabhi baddua nahi hoti,
bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti,


Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai,

Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo,
muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna,

Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai.

jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai,
maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai.

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya.

meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun,
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun.

'munawwar' maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona,
jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti.

lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai

4 comments:

  1. Awesome post keep it up. I like your post you work well.relationship status

    ReplyDelete
  2. Nice post i love to read it you work well and also your writing style super good.Awesome post keep it up. I like your post you work well. Entire post really Awesome! Thank you for all the hard work you put into it. It's really shows. i read you all post i love to read your post and you work well. whatsapp group names

    ReplyDelete
  3. Nice post i love to read it you work well and also your writing style super good.Awesome post keep it up. I like your post you work well. Entire post really Awesome! Thank you for all the hard work you put into it. It's really shows. i read you all post i love to read your post and you work well. love status english

    ReplyDelete